Thursday, January 14, 2016

Yeh Kasoor Mera Hain!

Yeh waqt thhamta nahi
umar beet jaati hain,
tere khyaalo mein hi
raat katt jaati hain.
woh waqt,
woh manzar,
woh halaat nazar aatey hain
mujhko pukaarte woh
khayalaat aatey hain.
train ke dibbey
kabhi khaali
toh kabhi laasho se bharey
nazar aatey hain,
khoon mein rangey haath
meri aur badtey nazar aatey hain...
uss dhoond mein gunjta
ek sawal sunaai deta hain
btaa do mujhe, kya
yeh kasoor mera hain?

Guzra jab rasto se main kabhi
mujhe lasho ka ambaar nazar aaya hain,
sisak-sisak ke ro rahe bachho ka jamhoor nazar aaya hain
khil khilata jo kabhi hare rang se
woh khet lahu-luhan ho jaata hain
apno se door bhaagta aaj mujhko
insaan nazar aata hain
kaise kahoon main ye
yeh kasoor mera hain jo mujhko nazar aata hain

Gira tha ashqa meri aankho se bhi
apno ki maut ka gam kisko nahi hota,
 majboor kar detey hain halaat
warna yunhi na main gumgeen hota.
woh kursi mere watan ki
woh parcham meri jeet ka
sana hain khoon mein unke
jinka koi gunaah nahi
jo aaya sailab idhar
woh mere karmo ka hain,
yeh kasoor mera hain!

Kaat di baahe uss watan ki
jisne mujhko sab kuch diya
woh log jinse mill kar
iss mulk ko mene azaad karwaya tha
unko peeche chhod diya
jo na kar sakey firangi
woh kaarnama aaj kar dikhaya hain
iss mulk ke batware mein mera bhi naam aaya hain.
bahaa lahun itna ki, kalinga ka iteehas dauhraya hain
yeh kasoor mera hain jo mujhe aaj samajh aaya hain.


No comments:

Post a Comment

Blogs